kabhi kuch na kehkar bhi,sab keh jata hai ye dil,kabhi chup rehkar bhi har dard seh jata hai ye dil,dil ki aahein to aaj tak hum bhi na samajh paaye ,gumon k andhere me bhi khud jalkar roshini kar jata hai ,,,,,,,,,,,,ye dil
Tum ko sochu toh sab silsile ache lagte hai Mujhe tumhare shaam-o-saher ache lagte hai Bahut dur tak jaana magar laut ana Mujhe tum se tumhi tak ke faasle ache lagte hai
Apni taqdir mai hum mohabbat mangna bhul gaye, dil to mangna par didar mangna bhul gaye, hum to dil kisiko de aaye, par badle mai dil mangna bhul gaye.
Wo dard hi kya jo ankho se beh jaye wo khushi hi kya jo honto pe reh jaye kabhi to samje koi kisi ki khamoshi ko wo bat hi kya jise alfaz asani se kehjaye.
ye aur baat hai kee chupchap khadhe rehte hai,magar jo log bade hai bade rehte hai,milta hai aise darveso se humara sajda,jinke kadmo main hajaro taaj pade rehte hai....