Yaadon ki dhund me aapki parchai si lagti hai, Kaanon me gunjti shahnai si lagti hai, Aap karib ho to apnapan hai, Warna seene me saanse bhi parai si lagti hai.
Deewane hai tere naam ke, is baat se inkaar nahi, kaise kahe ki hamein aapse pyar nahi, kuch to kasoor hai aapki nigahon ka, hum akele to gunehgar nahi.
Gam nahi waha jaha ho fasanaaapka, Khushiya dhundti rahe aashiyana aapka, Wo waqt hi na aaye jab aap udas ho, Ye duniya bhula na sake "MUSKURANA" aapka...