Vo Bohot Khush Hua Mera Ghar Jalane K Bad,Dekho Kitna Zalim Ho Gaya Hai Bichar Jane K Bad.Jab Chaho Katal Kar Dena Magar Itna Khayal Rakhna,Kon Barh K Chahe Ga Tujhe Iss Diwane K Bad.
Tham lay jo tu hath mera to sab sanwar jaye Thukra day jo mujhay tu to sab bikhar jaye Kehta hun tujhay ab kar lay tu bhe iqrar Kahin ye pagal teray iqrar say pehlay na guzar jaye
Kaash tum mujhe ek khat likh dete, mujhme kya kya thi kami yeh to bata dete, tadapte dil se mere tumne nafrat kyu ki, nafrat ki hi mujhe koi vajah to bata dete
Main uska hoon vo is ahsaas se inkar karta hai, bhari mahfil me bhi ruswa mujhe har baar karta hai, yakin hai sari duniya ko khafa hai humse vo lekin, mujhe maloom hai phir bhi mujhise pyar karta hai
Juban ko bolne na de aur kayi kaam hai uske,Bhulkar sare jahan ko najar-najar milayein hum,Ek pal wo bhi aaye ki,khud ka khud pata na ho,Jannat ka aashiyan bana pahlu mein bikhar jayein hum.