Manjil ki talash mein nikle hain hum sabhi,sabki manjil ek ho yeh mumkin nahi,aise hi kisi mod par bichad jayen jo kabhi.yeh mat samjhana aapke sath hum nahi
Humne apni ik duniya banai hai,Jis mein rehti main aur meri tanhayi hai,Us tanhayi mein baatein aur yaadein hain uski,Agar batadun sab ko to meri ruswai hai
Rango Mein Ghuli Ladki Kya Laal Gulabi Hai Jo Dekhta Hai Kehta Hai Kya Maal Gulabi Hai Pichle Baras Tune Jo Bhigoya Tha Holi Mein Ab Tak Nishani Ka Woh Rumaal Gulabi Hai
Dekha jo woh jaam teri yaad aagayi...yeh shaam tere naam, teri yaad aagayi...Har koi Janata tha mujhe tere naam se...Pucha kisi ne naam, Teri yaad aagayi
Ek tum hi ho jo hansati ho rulati ho, Dur jane ki baat kar fir pass bulati ho, Kitna nadan ho jata hun tumse milkar Meri aankhon mei jhank phool tum khilati ho