Sehmi si nigaho me khwab hum jaga denge Suni si raho me phool hum bicha denge Hamare sang muskura kar to dhekiye Hum aapki zindagi ke sarey ghum bhula denge!
Gila nahi jo naseebo ne kar dia juda, teri judai bhi ab hume pyar karti hai, Kinare baith k jiske kiye the dil ne karaar,nadi wo bhi ab tera intezar karti hai
Sitaro ki bhid se churaya hai Tuze, Dil se apna dost Banaya hai Tuze, is riste ko tutne na dena kyunki, is dil k kisi khas kone me chupaya hai Tuze...!!!
Aankho me rahne walo ko yaad nahi karte, dil me rahne walo ki bat nahi karte, humari to ruh me bas gaye hai aap, tabhi to hum aapse milne ki fariyad nahi karte.