Nazar nawaz najaro me ji nahi lagta, fiza gai to baharo me ji nahi lagta, na puchh mujse tere gum me kya gujarti hai, yahi kahungi hazaron me ji nahi lagta.”
Jaan chuke hum aaj, ke kyu khote rahe muhabbat ko, wo saamne rehte to hum khwaab dekhte the. Usko na mila apna chehra meri nazar mein, aur uske chehre ko hum khwaabo mein dhoondhte the
Poocho na us kaagaz se, jis per hum dil ke bayaan likhte hain, tanhaayion mein beeti baatein tamaam likhte hain, woh kalam bhi dewani ho gayi, jis se hum tumhaara naam likhte hain.....
Teri berukhi ko bhi rutba diya humne. Pyar ka har farz ada kiya humne. Mat soch ke hum bhool gaye hain tujhe; aaj bhi khuda se pehle tujhe yaad kiya humne.
Juban khamosh aankho me nami hogi, Bus yahi Dasta-E-zindgi hogi, Jakhm to bahut bhar jayenge, Par kaise bharega wo dil ka kona, Jisme teri kami hogi………..