Talash karo koi tumhe mil jayega, Magar hamari tarah tumhe kaun chahega. Zarur koi chahat ki nazar se tumhe dekhega, Magar aakhein hamari kaha se layega.
Meri zindagi ke is mod pe ye kaisa waqt aaya hai, zakhm is dil ka zubaan pe aaya hai, nahi rote hum kaanto ki chubhan se, aaj kisi ki yaad ne humko itna rulaaya hai......
Tu meri chahat hain, tu meri tamana hain, tu meri aarzoo hain, tu hi meri dua hain, tu hi mera dil ka sukoon hain, tujhe pane ki aas hain, tu hamesha mere dil ke paas hain, ab toh har pal yeh ehsaas hain, Ki tu mere liye kuch khaas hain.
Mahek unki aaj bhi meri sason me hai, har ek adaa unki meri in aankhon me hai. woh bhale mita de dil se mera wajud, Magar unki jagah aaj bhi meri in yaadon me hai.
usne kaha bas itni mulaqat bahut hairo ro ke kaha thehro abhi raat bahut hai aansoo mere thum jaaein to phir shauq se jana aise mein kahan jaoge barsaat bohat hai
Main Yeh Nahin KahtaK Koi Dil Main na Samaye main yeh nahin kahta K koi Aarzoo na Ban Paye Per..! Itna Zaroor kahna hai Ager samjh Sakoo K dil Main Kabhi kisi ko Itni Jaga Na doK Dil k liye Dharkna he Mushkal Hojaye.
Safar mohabt ka dushwar kitna hai Magr dekhna hai k koi wafadar kitna hai Yahi soch k usay kabi manga nahi maine Usay prakhna hay k wo mera talbgar kitna hai