Humne Kabhi Kiya Na Tha Pyar Tumse Pyar Karne Se Pehle Aur Na Kabhi Chaha Tha Kisiko Tumhe Chahne Se Pehle Par Tune Hume Zakhm Diye Itne Zaalim Har Pal Ghut Ghut Ke Mar Gaye Har Pal Jeenay Se Pehle
Intejaar ka meetha darad diya hai tumne, Mujh par bada ehsan kiya hai tumne, Kambakth aaj kal hichkiyan bhi nahi aati, Jo soochoon ke abhi mujhe yaad Kiya hai tumne
Woh dil kidher se lau teri yaad jo bhula de , Mujhe yaad aane wale koi rasta bata de , Mere dil ne tum ko chaha kya ye meri khata hai , Mana ke ye khata aisi bhi na saja de
Husna ko chand, Javani ko kammal kehte hain! Dekh kar hum tujhe, Ekh shauk ghazal kehte hain! Uff yeh sangeen huwa shafaf badan, Dekhne wale tujhe Taj Mahal kehte hain
kabhi kuch na kehkar bhi,sab keh jata hai ye dil,kabhi chup rehkar bhi har dard seh jata hai ye dil,dil ki aahein to aaj tak hum bhi na samajh paaye ,gumon k andhere me bhi khud jalkar roshini kar jata hai ,,,,,,,,,,,,ye dil
Din sara yaadon me guzar jata hai,Phir bhi raat ko aapka hi khayaal aata hai... Kuch yaadein is kadar ban jaati hain ki,Aaine me bhi chehra apka nazar aata hai
Aaj Kah Dunga Shab-E-Gum Ki Shararat Unse Roz Aa Jati Hai Kambaqt Satane Ke Liye Humko Maloom Tha Aap Ayenge Mere Ghar Lekin Khud Chala Aya Hoon Yaad Dilaneke Liye
anjam janata tha magar is dil ko samazana saka janata tha inkaar karoge, magar ikaraar kiye bina rah na saka door hokar tumse ji na sakoonga phirabhi apne jasbaato ko tumhe kabhi samjha na saka