Apne honthon ko badhao ki chuhlun shabnam Apni bahon mei chupao ki, bhuloon sab gum, Chohdo kaya rakha hai een wadon-kasamon mei, Mastiyan baant le, jee le khulkar, na ho koi waham
Log har manzil ko mushkil samajhte hai, ham har mushkil ko manzil samajhte hai. Bada fark hai log aur hamare nazarie me, log dil ko dard aur ham dard ko dil samajhte hai..
Wo ruthe is kadar ki manaya na gaya, Durr itne ho gaye ki pass bulaya na gaya, Dil to dil tha samundar ka sahil nahi, Likh diya naam to fir mitaya na gaya.
Jabse Kareeb Hoke Chale Zindagi Se Hum Khud Apne Hi Aaine Ko Lage Aznabi Se Hum Kuchh Duur Chalke Raste Sab Ek Se Lage Milne Gaye Kisi Se, Mil Aaye Kisi Se Hum
Ye Dekha Hai Humne Aazma Kar, Dur Chale Jaate Hai Log Aksar Kareeb Aakar, Kehti Hai Ye Duniya Par Dil Nahi Manta, Chod Jaoge Tum Bhi Ek Din Mujhe Apna Banakar