Kaghaz kaghaz haraf sajjaya karta hai, Tanhai main sheher basaaya karta hai, Kaisa paagal shaks hai saari saari raat, Deewaroon ko dard sunaya karta hai, Ro daita hai aap hi apni baatoon par, Aur phir khud ko aap hansaaya karta hai.
Yaad hai teri aur zindagi mein gam hai Manzar hai judai ka aur aankhen bhi nam hain Tu aaye to dhadak jaaye, aa jaaye isme jaan Teri aarzoo hai, dil mein dhadkanen bhi kam hain
Har baat kehkar samjayi nahi jati, har cheez zindagi main paayi nahi jati, yu to har waqt yaad karte hai aap ko, par yaadein kisi ko dikhayi nahi jaati
hum apne app par garoor nahi karte kisiko pyr karne par majbor nahi karte magr jise ek bar dil mein basa le phir marte damtak use dilse door nahi karte
usne kaha bas itni mulaqat bahut hairo ro ke kaha thehro abhi raat bahut hai aansoo mere thum jaaein to phir shauq se jana aise mein kahan jaoge barsaat bohat hai
Kitna bebas hai insaan apni kismat ke aage, Kitne benoor hain sapne hakikat ke aage, Koi ruki si dhadkan se puche,kitna tadapta hai dil mohabbat ke aage.