Kisi ko kisi ke dil se nikala nahi jata, Paas bula ke phir dur bhagaya nahi jata,kyun samjte nahi hai ye log ki Pyar ek ehsas hai jo dil se hataya nahi jata.
Unki zudai ne hume yar se kafir bana diya,Likhi ibarato ko kore kagaz sa bana diya,Dalega phir dil hamara mohabbat me kabhi,Is aas ne hamko musafir bana diya.
Kitabo mein phool rakhna darakhto pe naam likhna Tumhe bhi yaad hai wo harfe nazar se salaam likhna Woh sham ki mulaqate,wo pyar bhari baten Wo chote chote kagzo par muhabbato ke paigham likhna
Gum ki aahat bhi na aaye tere dar par, pyar ka samunder ka tu bhi ek kinara ho, kabhi bhool se jo tapke teri aankh se moti, thame wohi jo tujhe sab se pyara ho