Hum to tujhe bhool chuke the lekin, na jaane kyu log teri yaad dilane aaye, yeh kya kam hai ke teri gali mein tere deedaar ki khaatir, hum tujhe kisi aur ke milne ke bahane aaye...
Tujhe dekhe bina teri tasveer bana sakta hoon, tujhe jane bina tera haal bata sakta hoon, hai meri mohabbat mein itna dum, apni aankh ka aansoo teri aankh se gira sakta hoon....
KITNA BEBAS HAI INSAAN APNI KISMAT KE AAGE, KITNA BE-NOOR HAI SAPNE HAKEEQAT KE AAGE, KOI RUKI SI DHADKAN SE POOCHE, KITNA TADAPTA HAI DIL MUHOBBAT KE AAGE.
Meri zindagi ke is mod pe ye kaisa waqt aaya hai, zakhm is dil ka zubaan pe aaya hai, nahi rote hum kaanto ki chubhan se, aaj kisi ki yaad ne humko itna rulaaya hai......