pyaar kia to unki mohabat nazar ayi,dard hua hume to palke unki bhar ayi,Do dilo ki dhadkan me ek bat nazar ayi,dil to unka dhadka par awaz is dil se ayi.
humain hasnay or hasanay ke adat hay nazron say nazrain milanay ke adat hay,par hamare nazar jisay hay ja mile osay nazar jhuka kar sharmanay ke adat hay.
Gunaah karke saza se darty hain... Zeher pi ke dawa se darte hain... Dushmano ke sitam ka khauff nahi... Hum to apno ke rooth jaane se darte hain......
Aankhon mein aansuo ko ubharne na diya,Mitti ke motiyo ko bikharne na diya,Jis raah pe pade thay tere kadmo ke nishaa,Uss raah se kisiko guzarne na diya!
Pilana farz tha kuch bhi pila diya hota, Sharab kam thi to pani mila diya hota, Agar zuban pe sharm-o-haya ka pehra tha, To muskura ke sar hi hila diya hota.