Kashti k musafir ne samunder nahi dekha Ankho me raha dil me utar kar nhi dekha Pather samjhte the mere chahne wale Par mom tha mai kisine chu kar nahi dekha.
Rukta bhi nahi, theek se chalta bhi nahi, Yeh dil hai kay tere baad sambhalta hi nahi, Is umar key sehra say teri yaad ka baadal, Talta bhi nahi aur barasta bhi nahi,
Is jamane se bahut alag ho aap,Woh khushkismat hai jiske paas ho aap,Hamare liye woh waqt hi haseen hai,Jab hame yaad karke dil se muskura lete ho aap.
Husn Or Mohbat dost the,1raat mohbt ne chand ki tarif kardi.Husn ne jalan k mare mohbat ki ankhe noch li,bus us din se mohbat "ANDHI" ho gai or husn "ZALIM"..
Ab kya kahe ki unse mohabat na rahi,Ya ye ki unko humari jarurat na rahi,Unko bhi wada karke bhulane ka shauk hai,Aur humko bhi ab intejar ki aadat na rahi.