ga saku aapka nagma, par woh saaz kaha se lau, suna saku kuch aapko, par woh andaz kaha se lau, yun to chaand ki tareef karna aasan hai, par kar sake to aapki tareef woh alfaaz kaha se lau.
tujhe bhulane ke liye humne kya kya jatne na kiye kitne pymane tode or kitne jaam piye phir bhi teri yaadon ne mera picha na choda dil ne tujhe naaa bhul pane ke dave kiye
zindagi itni jiyo jiski koi had na ho bharosa itna karo ki koi shaq na ho intazar aisa karo ki koi waqt na ho aur pyar aisa karo ki na mile to bhi nafrat na ho
labo pe geat to aankho mei khwab rakhte the.. kabhi kitabo mei hum bhi gulaab rakhte the .. kabhi kisi ka jo hota tha intezar humei.. bada hi sham o sehar ka hisaab rakhte the...
pyaar kia to unki mohabat nazar ayi,dard hua hume to palke unki bhar ayi,Do dilo ki dhadkan me ek bat nazar ayi,dil to unka dhadka par awaz is dil se ayi.
Apke bichadne ka dukh hum sahe nahin sakte, bhari mahefil men ye kahe nahin sakte mere girte aansu pakad ke dekh,woh bhi kahete hai hum aapke bina rahe nahin sakte