Yaado ko teri humne khone na diya, gumo ne bhi chup hone na diya. aankhe to aaj bhi bhar aayi teri yaad me, par teri di hui kasam ne hume rone na diya.!
Dil ki batein aakhon se kahi jati hai,Bol dhadkan se sune jate hai,Aap toh nadan hai jo saaf sunna chahte hai,ishq ke jazbat toh sirf mehsoos kiye jate hai.
Tare Aasman Main Chamakte Hain Badal Door Hote Hue B Garajte Hain Is Dil Ki Nadani To Dekhiye Aap Dil Main Rahte Hain Aur Hum Aapse Milne Ko Taraste Hain…
Lehro se milkar na wo beh sake na hum! Ek duje k dil me na wo reh sake na hum! Jeet lete aasma ek din lekin palko ki khamoshi ko honton se na wo keh sake na hum!