Kyu dil mai koi arman nahi duniya itni viran nahi har taraf ujale hai phir bhi tere sath koi saya hi nahi koi bhi tera ho sakta hai kabhi tune apnayahi nahi
Bahut taras kar nigahein jab nam ho gayi,Jugnu nachte rahe chamak kam hogayi,Kisi ko dekh lene ki tamana ne kiya pagal,Utar kar galon par shabnam sanam ho gayi
Har baat samjhane ke liye nahi hoti, Zindagi hamesha paane ke liye nahi hoti. Yaad to aksar aati hai hume aapki, Par har yaad jatane ke liye nahi hoti.
Tanhayi le jati hai jaha tak yaad tumhari,Wahi se shuru hoti hai zindgi humari,Nahi socha tha chahenge tume is qadar,Par ab to ban gaye ho tum kismat humari.
Jugnu ko kaid karke muskurya na karo, Roshni ki khatir kisi ko jalaya na karo, Dil pe sitam itne kyu karte ho ,yaad nahi karte to kamse kam yaad aye na karo