Ankhen to pyar me dilki zuban hoti hai,sachi chahat to sada bezuban hoti hai.pyar mai dard bhi mile to kya gabrana,suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai....
WAFA is ko nahin kehte wafa kuch or ho ti hai. Muhabbat karne walon ki ada kuch or ho ti hai. Tumhein dekha tumhein chaha tum hi se pyar kar bethe. Suno patthar k dil walon muhabbat aisi bhi hoti hai. Agar che gham ka maara hoon magar tum ko na bhoolonga. K deewano k honton per dua kuch or hoti hai. Tadap uthay gi yeh duniya agar royega dil mera. K Dil se jo nikalti hai sada kuch or hoti hai.
uski yaad mein dekho hum kya karte hain bikhri hui zindagi mein deewaronse baatein karte hain dekha usse kal maine par woh ek chalava nikla meri kismat dekho jo mera tha woh paraya nikla kehte hai ki ishq mein toh lut jana chahiye par jab yaar hi na mile toh kispe mita jaye