Dekho koi wada na karo bhool jao gay, Meri yaad zyada na karo bhool jao gay, Main aaun to ker lena gilay shikway saray, Abhi se irada na karo bhool jao gay
Nigahe dar per lagi hai or hum udas baithe hai... Tere aane ki lekar aas baithe hai... Yuhi nahi teiz hue dil ki darkan aisa laga k aap paas baithe hai.......
Na Chupana Koi Baat DiL Main Ho Agar,Rakhna Thorra Bharosa Hum Par,Hum Nibhaye Ge Dosti Ka Rishta Iss Qadar,Ke Bhulane Par Bhi Na Bhula Pao Ge Zindagi Bhar..
Jaan se bhi zyada unhe pyaar kiya karte theYaad unhe din-raat kiya karte theAb un raahon se guzra nahi jaata Jahan baith kar unka intzaar kiya karte the
aakhri baar hai, lo maan lo ik yeh bhi sawaal aaj tuk tum se mein lota nahin mayoos-e jawaab aa ke le ja'o tum apna yeh damukta hua phool mujh ko lota do meri umr-e ghazishta ki kitaab
Chaahat teri, zehen pe chhati hi jaa rahi, Surat teri dilon me basti hi jaa rahi, Tera pyar mile ab, ya tera gham mile muze, aadat tere khayaal ki badhti hi jaa rahi..
Mujhe sulane k khatir jab raat aati hai,Hum so nahi pate, raat khud so jati hai,Puchne par dilse ye awaz aati hai,Aaj unhe yaad kar le, RAAT to roz aati hai