Chand tare jami pe lane ki zid thi, hume unko apna banane ki zid thi, achha hua wo pehle hi ho gaye bewafa , warna unhe pane ko zamana jalane ki zid thi.
Jo hadse na guzar jaye wo pyar hi kya, Jo pyar karne pe majboor na karde wo ikraar hi kya, Intezar to sab karte hai..... Saanse tootne tak jo saath na de wo yaar hi kya!
Kya zamaana tha, ke hum roz mila karte thay, Raat bhar chaand ke humraaz phira karte thay, Dekh kar jo humein chup chaap guzar jate hai, Kabhi us shaks se hum pyaar kiya karte thay.
Pyaar shabd nahi jo kaha jaye,Ruh nahi jo mit jaye,Safar nahi jo mukam paye,Pyaar woh khubsurat ehsaas hai jiske liye agar jiya jaye toh zindagi kam pad jaye." Happy Hug Day "…