Kya zamana tha hum roz mila karte the Raat bhar chand ke hamrah chala karte the Dekh ke jo hame chup chap guzar jata hai Kabhi is saksh se hum pyar kiya karte the.
Har chirag ki lau soyi-soyi thi.Uss sham vo kisi se bichad ke khoyi thi.Naha gaya tha me jugnu ki barish me.Jab vo mere kandhe par sar rakh kar royi thi.
Nazro ko nazaro ki kami nahi hoti , foolo ko baharo ki kami nahi hoti , fir kyo hume yaad karoge aap , aap to aasman ho or aasman me sitaro ki kami nahi hoti.
Zindagi aapke bina adhuri hai, na jane q aapke mere beech me ye duri hai, sochta hu kabhi bhula du aapko ko, per aapki ek muskan meri bahut badi kamjori hai…
Raaz dil ka dil mein chupate hai woh,Samne aate hi nazar jhukate hai woh,Baat karte nahi, ya hoti nahi,Par shukar hai jab bhi milte hai muskurate hai woh.