Hazaro ki ginti to hame nahi aati,par khayal kuch aisa hai,ke ret ka har zarra agar nayab hira ban jaye,to tohfe me aapko registan dene ki khwaish rakhte hai.
Phoolo ke bicch khade ho kar bhi khusboo ki kami hai Baharo ke bicch jhoom kar bhi khushiyon ki kami hai Sabhke saath hote hue bhi mere mehboob teri kami hai.
Andaj e dosti bhi aapki 1 ada hai, jisko bhi chaha aapne wo aap par fida hai, dil me basi hai ek pyari si tasvir aapki, fir kaise keh du k aap humse juda hai.
Log kehte hain wo mujh se Juda rehta hai, Ban k dhadkan Jo mere dil main sada rehta hai, Yun meri zaat main shamil hai uski hasti, Jis tarah sare zamane main Khuda rehta hai.
Yaado me hamari woh bhi khoye honge, khuli aankho se kabhi woh bhi soye honge, mana ki hasna ada hai gum chupane ki, par haste haste kabhi woh bhi roye honge