Tanhai mein waqt barbad kiya karte hai, Hum har din har pal tumhe yaad kiya karte hai, Mein nahi janta gharwale batate hai, Hum neend mein bhi aapka naam liya karte hai
Mayoos tow hoon mager hona nahi chahti Kia karon mein ussay bhulana nahi chahti Janti hon wo bay khaber hai mujhe se phir bhee Uss k khayal ko dil se mitana nahi chahti
Pilana farz tha kuch bhi pila diya hota, Sharab kam thi to pani mila diya hota, Agar zuban pe sharm-o-haya ka pehra tha, To muskura ke sar hi hila diya hota.