Chote se Dil ko milte gam bahut he, Zindgi me milte har pal zakham bahut he, Maar dalti kab ki ye duniya, magar muj ko Pyar karne vali ki dua me dum bahut he.
Zindan_e_Ishaq Mein Jo Griftaar Ho Gya Kisi Kaam ka Na Raha Bekaar Ho Gya Jiss rooz keh usey Mehboob ka Deedar Ho Gya Us din se Shuru Dobara Intazar Ho Gya
Unki nigahe kya kamal karti he, Kabhi haqiqat to Kbhi afsane bya karti he, Tham Si jati he us pal dhadkane Jb unki jhuki Palke mohabt ka izhar Karti hai.
Kuch nasha to aapki baat ka hai, kuch nasha to dheemi barsaat ka hai, humein aap yun hi sharabi na kahiye, is dil par asar to aap se mulakat ka hai....!
Phul ki tarah haste raho to hum khush hai, Dil kholkar jeete raho to hum khush hai, yeh nahi kehte ki roj milo, bas kisi din yaad karliya karo to hum khush hai.