Jaan chali jayegi hamari itna pyar na kariye,Pyaar me bechain hame mere yaar na kariye,Kasam hai aapko na rulaiye hame apni yaad me,Apni betabi ka izhaar baar baar na kariye.
Hasin chehre par kabhi aitbar na karna,tod dete hai wo dil kabhi pyar na karna.hai guzarish sab se meri marr jaoge,wona ayenge kabhi isliy intezar na karna
Jo tune diya use har pal yaad karenge, Har pal tere milne ki Faryaad karenge . Chale aana jab kabhi khayal aaye MERA, Hum roz khuda se pehle tujhe yaad karenge.
Umra ki rah me insan badal jate hai, waqt ki aandhi me tufan badal jate hai, socha tumhe itna yaad na karu, lekin aankh band karte hi irade badal jate hai...
Apne haathon se yun chehre ko chhupaate kyon ho, mujh se sharmaate ho tou saamne aate kyon ho, Tum kabhi meri tarah kar bhi lo ikraar-e-vafa, pyaar karte ho tou phir pyaar chupaate kyon ho,