Ek tum hi ho jo hansati ho rulati ho, Dur jane ki baat kar fir pass bulati ho, Kitna nadan ho jata hun tumse milkar Meri aankhon mei jhank phool tum khilati ho
aakhri baar hai, lo maan lo ik yeh bhi sawaal aaj tuk tum se mein lota nahin mayoos-e jawaab aa ke le ja'o tum apna yeh damukta hua phool mujh ko lota do meri umr-e ghazishta ki kitaab
Talaash karoge toh koi mil hi jayega,magar hamari tarah rishta kaun nibhayega,mana ki kam nehi hain ashiq apke,magar kya humari jagah kisi aur ko de payoge
Badalna aata nahi humko mousmo ki tarah Har ek roop main tera intezaar karte hain Na tum samet sakogi jise qayamat tak Kasam tumhari tumhe itna pyar karte hain.
Ek baar jo gale lag ke rone diya hota,Hamne bhi koi pal mohabbat ka ji liya hota,toot ke bikher jate aapke kadmo m,aapki sanso ne mera nam to liya hota
Ji ko sawara humne tamannao ke khun se,Gulshan mein uss bahar ke haqdar hum nahi,Dhoka diya hai khud ko mahobbat ke naam seMKese kahe ki gunehgar hum nahi.
Nazrein mile ek zamaana ho gayaa…. Aisa lagta hai apna bhi koi begaana ho gayaa…. Wo to chale gaye humse door…. Lekin mushkil is dil ko samjhaana ho gayaa
Gila nahi jo naseebo ne kar dia juda, teri judai bhi ab hume pyar karti hai, Kinare baith k jiske kiye the dil ne karaar,nadi wo bhi ab tera intezar karti hai