NEEND AAYE TO KHAWAAB AAYE, KHWAAB AAYE TO AAP AAYE , ISI KASAMKASH ME HAMARI RAAT GUJAR GAYI, NA NEEND AAYI NA AAP AAYE. KAASH BANANE WALE NE DIL SHISHE KE BANYE HOTE, KAM SE KAM TODNE WALO KE HAATO ME ZAKHAM TO AAYE HOTE
Mot mangu to zindgi khafa ho jati he zaher pita hu to wo bhi dava ho jati he, tu hi bata e mere dost me kya karu, jisko bhi ham chahte hai wo bewafa ho jati Hai
Wo kahakar chal diye itni mulakat bahut hai,Hamne kaha ruk jao abhi raat bahut hai,Tham jaye mere ansu to shauk se jana,Aise me kaha jaoge barsaat bahut hai.
Muskurake hum apna dard chipate hain Hum wade-e-wafayee taumr nibhate hain Par humpe aaj na hai kisi apne ko aetbaar Aaj humein sab begaana batate hain
Kabhi jazbaat to kabhi yaadon ko dafan karte hai, kabhi aansu to kabhi dard piya karte hai, kya khub taqdir di hai khuda ne, har roj mar mar ke jiya karte hai.
Mere sath sath sada raha woh meri nazar se chupa hua Ye ajeeb si jo misal hai na kabhi mila na juda hua Jise le gai hai abhi hawa woh varak tha dil ki kitab ka Kahin ansuo se likha hua kahin ansuon se mita hua