Wada to kar lete hai par nibhana bhul jate hai, laga kar aag sine main buzana bhul jate hai, bhulana jaisi adat ho gai hai _ap ki, aap hi rulate hai, our fir manana bhul jate hai.
Tu Naam Ka Darya Hai Rawani Nahi Rakhta,Badal Hai Wo Khokhla Jo Pani Nahi Rakhta,Ye Akhri Tasvir Akhri Khat Bhi Le Ja,Mai Bhul jane walo ki nishani nahi rakhta
Labon Pe Tabassum Tho Aankhon Mein Paani Yahi Hai Yahi Diljalon Ki Nishani Bathaoo Main Kya Aansoon Ki Haqeeqat Jo Samjho Tho Sab Kuch Na Samjhe Tho Paani
Mohabat k safar me koi rasta nahi deta,Zameen Wakif nahi banti falak saya nahi deta,Uthana khud hi padta he thaka tuta badan,K jab tak saans chalti he koi kandha nahi deta.
tujh se bicharne ka khayal seh nahi paata phir bhi dil ki baat keh nahi paata kyun hain aakhir zindagi mein is qadr majbooriaan maut bhi nahi aati, zinda bhi reh nahi paata