Har Ek Baat Pe Kahte Ho Tum Ki Tu Kya Hai Tumhi Kaho Ki Yeh Andaz-E-Guftagu Kya Hai Ragon Main Daurte Phirne Ke Hum Nahin Qayal Jab Aankh Se Hi Na Tapka To Phir Lahoo Kya Hai
Ashq beh beh ke mere khaak pe jab girne lage, Maine tujhko tere daaman ko bahut yaad kiyaa, Yoon bhi ek din tujhe barbad to hona tha, Naaz kar naaz ke us ne tujhe barbaad kiya.
Itne karib aye ke dur ho gaye, Itane hanse ki rone ko majbur ho gaye, Aur ansuon ko apana mukaddar bana liya, tanhaiyon ke shahar me ek ghar bana liya.
Katra katra aansu bahte rahe, Or hum unhe sukha bi na paye, Is se bdi wafa ki saza kya hogi, wo roye hmse lipatkar kisi aur k liye Or hum mana bi Na kar paye.