kabhi tera naam lete hai Dil se hum inteqam lete hai Meri barbadiyo ke afsane Mere yaro ke naam lete hai Bas yehi ek jurm hai apna Hum muhabat se kaam lete hai.
Aagaaz to hota hai anjaam nahin hota jab meri kahaani mein woh naam nahin hota jab zulf ki kaalikh mein ghul jaye koi raahi badnaam sahi lekin gumnaam nahin hota
waade bhi dost ne kya khoob nibhaye, zakhm muft mein aur dard tohfe mein bhijwaye, is se badhkar wafa ki misaal kya hogi, maut se pehle hi dost kafan le aaye.
Koi wada nahi fir bhi tera intzaar hai, Judai ke bawjood bhi tujhse pyar hai. Tere chehre ki udasi de rahi hai wahi, Mujhse bichad ke tub hi bekrar hai.
Konsa Zakhm Tha Jo Tar-O-Taza Na Tha,Zindge M Itne Gm Thay K Andaaza Na Tha,Un Ke Jheel C Aankho Ka Is M Kya Kasoor,Dobne Walo Ko Gehrai Ka Andaaza Na Tha