Hasi ne labon pe thirakna chod diya hain, khwabon ne palkon pe aana chod diya hain, nahi aati ab toh hichkiya bhi shayad aapne bhi yaad karna chod diya hain..
MATLAB KI HAI YEH DUNIYA PAISE SE BANTHI HAI AUR BIGADTHI HAI PYAAR MOHABATH CHAAHAT SAB-KUCH MILTHA HAI JAB HALATH BIGADTHI HAI THO SAB KUCH LUT JATHA HAI
Zuban khamosh, ankhon me nami hogi, Yahi bas ek dastan-e-zindagi hogi, Bharne ko to har zakham bhar jayega, kaise bharegi wo jagah jaha Teri kami hogi.
Maayusiyon ki dhool se har naksh hai dhundhala tera.Maine kabhi Ae zindagi dekha nahin chehra tera.Tu bhi kabhi mehsoos kar kya hai bikharne ki tadap.Ek roz bazi yu saje sheesha tera pathar mera.
Yeh sach hai ki. Aa jata hai shohrat ka Asar.. insaan to kiya dar-o-deewar badal jate hai.. Aur bewafa badle ya naa badle.. Waqt aane par wafadar badal jate hai.
Tum se bichda to mat puch kidhar jaunga, Chupchap teri gali se guzar jaunga, Jab tujko hogi mere haale paresha ki khabar, To ask bankar tere gaalo se lipat jaunga.......