Ab ke sawan mein paani barsa bahut,Paani ki har boond mein woh aaye yaad bahut.Is suhaane mausam mein saath nahi tha koi,Baadlon ke saath in aankhon se paani baha bahut.
Guzarte lamho me sadiya talash karta hoon,Ye meri pyas hai nadiya talash karta hoon,Yahan to log ginate hai khubiya apni,Me apne aap me khamiya talash karta hoon..
Kaun andaza mere gum ka laga sakta hai, Bin chale kaun sahi raah bata sakta hai, Kinare walo tum mere dard ko kya jano, Dubne wala hi gahrai bata sakta hai!
Kuch Pathar Me Phul Khil Jate Hai,Kuch Anjane B Apne Ban Jate Hai,Is Katil Dunia Me Kuch Lash Ko Kafan B Nasib Nahi HotaTo Kuch Lash Par Tajmahal Ban Jate Hai
Hum hawa nahi jo kho jayenge, Hum waqt nahi jo guzar jayenge. Hum mausam nahi jo badal jayenge, Hum to aasu hai jo khushi aur gum dono mein nazar aayenge.
Hum jise dekhne ke liye jiye ja rahe hai.wo parde pe parde kiye ja rahe hai.tajjub ki baat to yeh hai yaro hum abhi mare nahi aur wo kafn pe kafn siye jarahe h