bahut dinon baad aaya hai yeh deewana is dar par jaise laut ke mauj phir aayi ho sahil par main to pehle bhi tanha tha aaj bhi tanha hun kaun dega dastak is deewane ke dar par
Haif us chaar girah kapde ki qismat "Ghalib" Jis ki qismat mein ho aashiq ka girebaan hona Mujhko aashiq kahke uske roo baroo mat kijiyo Dostaan ! Gar dost ho to yeh kabho mat kijiyo Aashiq ki bekasi ka aalam na poochhiye Majnu pe jo guzar gayee sahraa gawah hai ""
Jab chaha jazbat se khele,jab chaha dil tod diya,tamam umar sath kya dete,jab beech raah me sath chod diya.unhe raas na ayi wafae meri pyar ki,shayad isliye mera daaman chod gairo se rishta jod diya.
Itna kuch khoya ki hume paana na aaya, Pyar kiya to jatana na aaya. Aa gaye is dil mein pehli hi nazar mein who, Kasoor humara tha jo hume unke dil mein samana na aaya.