Roye hein buhat tab zara karaar mila he is jahan mein kise bhala sacha pyar mila he guzar rahi hey zindagi imtehan ke daur se ek khatam howa to dosra tayar mila he
Ek Saksh K Gurur Par Mere Nighah Thi .Thokar Use Lagi To Sambhalna Pada Mujhe.Sachchahi Bhik Mangne Aae Thi Mere Ghar.Talwar Ki Nok Par Chalna Pada Mujhe.
Barh gaye kuch aur uljhan rabta karne ke baad,khud se bhi shikwa raha un se gila karne ke baaad,is se barh kar aur kya hum per sitam hoga yahan,mashwara manga hai usne faisla karne ke baad.
Manzile bi uski thi,Rasta bhi uska tha. Ek main akela tha,Kafila bi uska tha.. Sath Sath chalne ki soch bi uski thi,Fir raasta badalne ka faisla bhi uska tha... Aaj kyo akela hoon,Dil sawal karta hai,Log to uske the, Kya KHUDA bhi uska tha,.
Dil se roye magar hothon se muskura baithe, yun hi hum kisi se wafa nibha baithe, woh hame ek lamha na de paye, Jinke liye hum apni zindagi gawaa baithe.
YAAD KARTE HAIN TUMHE TANHAI MEIN DIL DOOBA HAI GHAMON KI GEHRAI MEIN HUME MAT DHOONDNA DUNIYA KI BHEEDH MEIN HUM MILYNGE TUMHE TUMHARI HI PARCHAI MEIN...