Ai mere humnashin chal kahin aur chal, Is chaman mein ab apna guzaara nahin, Baat hoti gulon tak to seh lete hum, Ab to kaanton pe bhi haq hamara nahin
Is Aas Main Chala Jaaoun Ga Main Ye Jahan Chor Kar Ke Shayad Mera Marna Hi Kuch Kaam Aaye Ga Shayad Chali Aaye Tu Us Pal Mere Paas Daur Kar Jis Pal Tere Paas Meri Maut Ka Paigaam Aaye Ga
Bhigi Barsaat me jalata hu, tuze kya maloom? Main samandar hu bikharata hu, tuze kya maloom? Jabse dekha hai mohabbat ka hasi Tajamahal, Kate haathon ko chhuppata hu, tuze kya maloom
Dil se roye magar hothon se muskura baithe, yun hi hum kisi se wafa nibha baithe, woh hame ek lamha na de paye, Jinke liye hum apni zindagi gawaa baithe.