Tera shaher kitna ajeeb hai Yahan kiska chehra pada karoon Yahan kaun itna qareeb hai Main kis se kahoon mere saath chal Yahan sab kay sar par saleeb hai
APNA TO YAHI KAHNA HAI US KHUDA SE ” SARA KASOOR US KHUDA KA HAI , JISNE YE ISHQ BANAYA HAI ! JAB DE HI DIYA THA YE DIL TO, KYO USME YE DARD JAGAYA HAI!
Ashq beh beh ke mere khaak pe jab girne lage, Maine tujhko tere daaman ko bahut yaad kiyaa, Yoon bhi ek din tujhe barbad to hona tha, Naaz kar naaz ke us ne tujhe barbaad kiya.
Dil ke kareeb aa ke wo jab dur ho gaye,Sare haseen sapne chur-chur ho gaye,Humne vada nibhaya to badnami mili,Aur wo "BEWAFAI" karke bhi mashur ho gaye....
Sata sata ke hamen ashqbar karti hai Tumhari yaad bahut beqaraar karti hai Gila nahi ke nasibo ne kar diya hai juda Teri judaai bhi hamse pyar karti hai
roz hota hai tarruf mera teri yAdoN se, chhalakta hai noor tera meri AnkhoN se, tadap raha hoon maiN aur ab ye Alam hai, aur intezaar nahi hota ab meri sasoN se,