Chale b aao hum tumse pyar karte hai,ye wo gunah hai jo hum bar bar karte hai, jala ke Rahe mohabat me hasrato k chirag,bus sada tere ane ka intezar karte hai.
Ankho mein raha dil me utar kar nahi dekha Kasti ke musafir ne kabhi samandar nahi dekha Bewaqt agar jaunga sab chauk padenge Muddat hui din me kabhi ghar nahi dekha
Hum suraj nahi jo dhal jayange,Hum waqt nahi to guzar jayange,Hum mausam nahi jo badal jayange,Hum to aansu hai jo khushi aur Gum dono me nazar aayange..
Pee hai sharab har gali har mehkhane se, ek dosti si ho gai hai sharab ke jam se, guzre hai hum kuch aise mukam se ki nafarat si ho gai mohabbat ke naam se
Dil tadpata raha or woh jane lage… sang guzre har lamhe yaad aane lage… khamosh nazro se dekha jo usne mud kar… yu bhingi palko se ham bhi muskurane lage…