Mai tujhko chahkar kaise kisiki chah karun,Tujhe nibha ke kyu kar koi nibaah karun,Tu zindagi hi nahi meri bandagi bhi hai,kisi aurko sochke kaise koi gunaah karun? :
Jane kyun hame aansu bahana nahi aata. jane kyun haale dil sunana nahi aata. kyu sathi bichhad jate hain hum se. shayad hame hi sath nibhana nahi aata...
Jab B yad karo pyar se karna, jab B muskurana dil khol k muskurana, jab B rona zara kam rona, magar jab kisi ka dil todna ho zara nahi bahot bahot sochke todn
Mehfeel me hume wo pahchan na sake,hum unke kareeb par hume jaan na sake,bhul hi chuke thee hume to wo,aur hum thee ki unhe apne dil se nikal na sake...
Nafrat thi hamse to izhar kyu kiya? Dena tha zaher to pyar kyu kiya? Dekar zaher kehte hai ke pina hi hoga,Aur jab pi gaye zaher to kehte hai ab jina hi hoga.
Muskurake hum apna dard chipate hain Hum wade-e-wafayee taumr nibhate hain Par humpe aaj na hai kisi apne ko aetbaar Aaj humein sab begaana batate hain
kuch khwab khwab reh jaate hai kuch sapne adhure reh jaate hai chahat ka wada wafa ki kasmein kagaz pe chand tehrerein reh jaati hai tujhse milna tujhe paane ki aarzoo kuch khwahishein hasratein reh jaati hai tere saath bita waqt tere sang guzre lamhe maazi k faqt yaadein reh jaati hai.