Tuta hua shisha phir joda nahi jata,Aankh se Nikla hua aansu phir wapis nahi aata,Tum to keh ke bhool chuke ho sab kuch,Lekin humse wo pal bhulaya nahi jata
Fareb tha uski hasi me hum ashiqi samaj baithe,maut ko hum apni zindgi samaj baithe,waqt ka majak tha ya badnasibi meri,uski do bato ko hum chahat samaj baithe.
SEH LETE HAI ZAALIM TERI HAR BAAT YEHI SOCHKAR, KI RUTHE HO TUM TO MANAYA NAHI JAAYEGA, E MAUT JARA TEHAR, MAIN JANAZA TAIYAAR KAR LU, UNSE TO EK KAFAN BHI LAYA NAHI JAAYEGA.
Unki tasveer ko seene se laga lete hain, iss tarah judai ka gham mitaa lete hain. Kisi tarah zikar ho jaye unka, to hass kar bheegi palkein jhuka lete hain.
Hijr Ke Mosam Main Ye Barish Ka Barasna Kesa Ik Sehraa Se Samandar Ka Guzarna Kesa Aye Mere Dil Na Pareshan Ho Tanha Ho Kar Wo Tere Sath Chala Kab Tha To Bichadna Kesa.