mat puch mujh se mere sabar kii wasatain kahan tak hai sata kar dekh le zalim teri takat jahan tak hai sitamgar tujh se umeed kiran hogi jinhain hogi hamain tu dekhna yah hai kay tu zalim kahan tak hai
Nazar ne nazar se mulaqat kar li, rahe dono ek dam khamosh par phir bhi baat karli. kuch samay baad mohabbat ki fiza ko tab jana jab khud ko akela paya, aur tab mere in aankhon ne ro ro ke barsaat kar li.
Unki meethi baato ne hi to hame rulaya hai aaj bhi mere dil me unki yaadon ka saya hai unse bichhadne ka gum nahi mit paya hai aaya hai fir se wohi zamaana yaad aaya hai
Alafaz nahi hai paas mere gum-e-ulfat kaise bayan karoon Aap ne ki hai mujhse beeafayee ye jag zaahir kaise karoon Humne to aap se mohabbat karke khud hai bhula diya Tere baad haalat kaise hai meri ab ye zaahir kaise karoon
Dilon se khelne ka hunar hume nahi aata Isiliye ishq ki baazi hum haar gaye Meri zindagi se shayad unhe bahut pyar tha Isiliye mujhe zinda hi maar gaye....