Vade karte hain, kasme khate hai, phir bhi na jane kyu log saath chod jate hai, hame to taklif hoti hai phul todne mein bhi, na jane log dil kaise tod jate hai.?
Chahat ki mehfil main bulaya hai kisi ne, khud bula ker phir sataya hai kisi ne, jab tak jali hai shama jalta raha parwana, kiya is tarhan saath nibhaya hai kisi ne
Kitne Log They Tumhare Zanaze Ke Peeche, Ek Mein Nahin Tha Tere Zanaze Ke Peeche, Mein Hota Bhi Kaise Tere Zanaze Ke Peeche, Jo Mera Zanazaa Ja raha tha Tere Zanaze Ke Peeche
Juba khamosh oR ankho me nami hogi, yahi bas ek dastan e jindagi hogi, bharne ko to har zakhm bhar jaega, kaise bharegi wo jagah, jaha TERI kami hogi..!
Teri Yaad Jati Nahi Dil Se, Apne Jakhmo Ko Sahlate Hain, Teri Yaad Mitane Ko Khud Par,Hum Kya-Kya Julm Dhaaate Hain, Yaad Mitane Ko Teri, Hum Tere Hi Naam Ko, Phle Lahu Se Likhte Hain Or Fir Ashko Se Mitate Hain.
Meri tanhaiya karti hai jinhe yaad sada,unko bhi meri jarurat ho jaruri to nahi,Muskurane se bhi hota h byan Gum-E-Dil,ashk aankho me ho jaruri to nahi.
Aap har manjil ko muskil samajhte hai, hum har muskil ko manjil samajhte hai, Bada farak hai aapke aur hamare nazariye me, aap dil ko dard aur hum dard ko dil samajhte hai.
Kitne Parwane jale raaz Ye jaan Ne K liye Shama jalne K Liye hai ya jalane K liye Ronewale tujhe rone Ka salika hi nh iAsk Pine K liye hai ya bahane K liye.