Jab chaha jazbat se khele,jab chaha dil tod diya,tamam umar sath kya dete,jab beech raah me sath chod diya.unhe raas na ayi wafae meri pyar ki,shayad isliye mera daaman chod gairo se rishta jod diya.
Tamanna To Jahan Ki Karte Hain Hum, Par Har Dil Jisse Apna Maane Woh Hamara Nahi Hota, Dariya-E-Mohabbat Mein Tufan Bhi Hain Bhawar Bhi Hain, Par Har Kashti Ki Kismat Main Kinara Nahi Hota.
Kaanch Chube To Nishaan Reh Jata Hai, Dil Tute To Armaan Reh Jata Hai, Laga To Deta Hai Waqt Marham Is Dil Per, Phir Bhi Umer Bhar Ek Zakhm Reh Jata Hai.
Alafaz nahi hai paas mere gum-e-ulfat kaise bayan karoon Aap ne ki hai mujhse beeafayee ye jag zaahir kaise karoon Humne to aap se mohabbat karke khud hai bhula diya Tere baad haalat kaise hai meri ab ye zaahir kaise karoon
Na jine ki khushi na marne ka gam, gam hai to unse na milne ka gam, jeete hai is aas pe kbhi woh hamare kehlayenge marte nahi isliye ki woh akele reh jayenge.