Ye jindgi bhi na jane kitne mod leti hai,Har mod pe naye sawal deti hai,Dhundte rehte hai ham jawab jindgi bhar.Jawab mil jaye to jindgi sawal badal deti hai.
Is se zyada kya rakhte hai chahat ki umeed,mita diya khud ko tumhe paane ke liye,mar kar bhi na bhool payenge hum,aankh to bandh ki hai sirf zamane ke liye.
Baton Baton Main Bichadne Ka Ishara Karke Woh Bi Roye Bahut Hamse Kinara Karke Dekh Lete Hai Chalo Hausla ApneDil Ka Zindgi Bhar Bina Unke Gujara Karke.
Koi chirag jalata hai dewane k liya, Koi chirag jalata hai parwane k liya, Hum chirag jalate hai "UNKE" liye, Jo hume bhulaye baithe hai kisi begane ke liye.
Gam is kader mila ke ghbra ke pi gye, khusi todi si mili ki mila ke pe gye, yu to na the hum pine ke aadi, shrab ko tanha dekha, to tares kha ke pi gye.
Ek khoobsoorat dhokha hai ishq yaaro, Hai har mohobbat ek jhoot yaaro, Jitni khoobsoorat ho sajan utni gehri hai wo bewafaai yaaro, Na yakin ho, to mere mehboob ki tasveer hi dekhlo yaaro…”