Ek janaja dekh k ladki muskurayi, ek baba bola beti jawan maut pe muskuraya nahi karte.Ladki-baba kya karu, wada kiya tha jab bhi milenge muskura kar milenge.
Na teer, na talvaar se ghayal hue hum... Teri sirf ik nazaar se, ilzaam, Shaayar hue hum... Huwi hum se ye nadani, kay teri mehfil mein aah bethay. Ho kay zameen ki khakh, aasman se dil laga bethay.
Aaj ujaali ki kiran kho gayi zindagi veraan se ho gayi, gaye woh din jab humne unse umeed rakha Aaj yeh khoob ho gaya ki humain mohabbat se nafrat ho gayi
Raat si tanha khamoshi hai mere dil mein.. Shayad kuch jazbaat ki kami hai iss dil mein.. Pehle to hum harr baat par haste ya rote the.. Par ab shayad koi ehsaas hi nahi hai mere dil mein!!