Kehte hain patthar dil aadmi ke, aansoo nahi nikalte; Par teri hi kudrat hai, pattharon se hi jharne phootte hain. Dil patthar ke nahin hote, jamana bana deta hai Sakhta patthar ke peeche ka dard kise pata hota hai?
Dil ki hasrat zubaan par aane lagi,Tumhe dekha aur zindagi muskurane lagi, Ye deewangi thi ya meri nazar ka dhokha,Har cheez mein surat teri nazar aane lagi.
Sar jhukaoge to pathar devta ho jayega Use itna mat chaho woh bewafa ho jayega Main khuda ka naam lekar pi raha hun dosto Zehar bhi usme agar hoga to dava ho jayega Hum bhi dariya hai hame apna hunar malum hai Jis taraf bhi chal padenge rasta ho jayega
Aashik marte nahi,jinda dufanaye jate he,hindu kehte he isse jalado do, muslim kehte he isse dafna do, magar koi a nahi kehta k ise uski mehbuba se mila do..
BAAT-BAAT PE JO YU ROOTH JATE HAIN HATH UNSE ANJANE ME CHOOT JATE HAIN KOI UNSE KAHE K BADA NAZUK HAI PYAR KA RISHTA HANSTE -HANSTE BHI DIL TOOT JATE HAIN