Har mulaqat pe nigaheyin meri faryaad karti yahi Ek palat nazar se dekhlein who kabhi Aur who bin dekhe hi andekha kar jaati hainReh jaati hain meri tamannayein dil mein dabi
Raastay Khud Hi Tabahi K Nikalay Humnay , Kar Diya Dil Kisi Patthar K Hawalay Humnay , Haan!! Hume Maalum Hai Kya Cheez Hai Mohabbat Yaaro, Apna Hi Ghar Jala K Dekhay Hai Ujjalay Humne..
zakhm sah letey hain..honthon ko see letey hain zindagi jaisi bhi dey ...usey khushi se jee letey hain tu hamein apney hathon sey pila na pila aey saaki peeney waley to teri ankhon sey peee letey hain!
Baton Baton Main Bichadne Ka Ishara Karke Woh Bi Roye Bahut Hamse Kinara Karke Dekh Lete Hai Chalo Hausla ApneDil Ka Zindgi Bhar Bina Unke Gujara Karke.
Mere sath sath sada raha woh meri nazar se chupa hua Ye ajeeb si jo misal hai na kabhi mila na juda hua Jise le gai hai abhi hawa woh varak tha dil ki kitab ka Kahin ansuo se likha hua kahin ansuon se mita hua