Woh Nazar kahan se laun jo tumhe bhulade, Woh dawa kahan se laun jo is Dard ko mitade, Milna to likha hota hai Taqdiron me Par, Woh Taqdir hi kahan se laun joh Hum Dono ko milade…
Naksh Kuch Mitte Rahe Kuch Sooratein Banti Raheen, Ranj Ki Beshi Kabhie Se Raahatein Banti Raheen, Mera Sarmaayaa Umeedon Ke Sivaa Kuch Bhi Na Thaa, Kuch To Yaadein Ban Gayeen Kuch Hasratein Banti Raheen
Dhoondhte Ho Kia In Aankho Mein Kahani Meri Khud Mein Gumm Rehna To Aadat Hai Purani Mer iBheer Mein B Tumhe Mil Jaonga Aasani Se Khoye-2 Rehna Hai Nishani Meri
Unki galiyoon se jab gujre to manjar ajeeb tha, Dard tha magar wo dil ke kareeb tha, Jise hum dhoondhte the apni hathoon ki lakeeroon mein... Wo kisi doosre ki kismat, kisi aur ka naseeb tha.
Titliyon Ko Pakarna Uski Aadat Thi Purani Hr 1 Se Lerna Uski Aadat Thi Purani Ham Uske Sath Chal Diye Yh Jante Hue Bi Raste Main Chor Dena Uski Aadat Thi Purani
Chaar tinke jala ke kya mil gaya Mit sakana zamane se mera nishaan, Mujhpe bijli girao to jaanu sahi Aashiaan par girane se kya faaida Bhoolne waale se koyi keh de zara is tarah yaad aane se kya faaida, Jab mere dil ki duniya basaati nahin phir khayaalon mein aane se kya faaida