ZINDAGI KE SAWALON KA JAWAB DHOONDTA HOON,DARD KO KAM KAR SAKE WO SHARAB DHOONDTA HOON,WAQT KE HAATHON MAJBOOR EK SHAKSH HOON MAIN,JO JEENE KA DE BAHANA WO KITAAB DHOONDTA HOON MAIN.
Hansane ke baad kyon rulaati hai yeh duniya, jaane ke baad kyon bhulati hai yeh duniya. Zindagi mein kya kuchh kasar baaki thi jo marne ke baad jalati hai yeh duniya!!
toota hai dil kuch is tarah ki, jore na jur sakega ab khai hai chot aisi ki, marham koi na rakh payega ab dein kisi ko dosh hum, ye apni aadat nahi kismat he apni aisii hai, kisi sey bhi gila nahi jaante theh mil jaaye khushian, aisi apni kismat
Bahoot tamanna thi, pyar mein aashiyan banane ki, Bana chuke to lag gayi Nazar zammane ki. Usi ka karz hai jo aaj hain aankhon mein aansoo, Saza mili hai hume bus muskurane ki
In aankhon me aasoo aaye na hote, Agar tum pichhe mudkar muskuraye na hote, Tumhare jaane ke baad ye gam hota hai, kaash tum zindagi me aayehi na hote !!!