Guzarte lamho me sadiya talash karta hoon,Ye meri pyas hai nadiya talash karta hoon,Yahan to log ginate hai khubiya apni,Me apne aap me khamiya talash karta hoon..
Jane kyun hame aansu bahana nahi aata. jane kyun haale dil sunana nahi aata. kyu sathi bichhad jate hain hum se. shayad hame hi sath nibhana nahi aata...
Sabi puchte hai ki hum muskurate kyu nahi,Humare zakhmo ko koi janta hi nahi,Hum tanha hai kitne ye hum hi jante hai,Hume gam honge itne koi manta hi nahi.
Bahoot tamanna thi, rishto ke aashiyan banane ki, Bana chuke toh lag gayi Nazar zammane ki. Usi ka karz hai jo aaj hain aankhon mein aansoo, Saza mili hai hume muskurane ki ! .......
Unki yaad mai aakho se din raat aasu hai barse,Manga jis khuda se b humne unhe,Laut aye khali hath har us dar se,Gunehgar keh kar Mili hume itni saza,par such to ye hai yaro hum to ek gunha karne ko b tarse
vishwas banke log zindegi me aate hai,khwab banke aankhon me sama jate hai.pehle to ye yakeen dilate hai ki bho hamare hai,phir na jane kyon tanha chor jate hai.
Apni Aakhon Ke Samunder Main Utar Jaane De Tera Mujrim Hoon, Mujhe Doub Ke Mar Jaane De Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko Sonchta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De