Ab ke sawan mein paani barsa bahut,Paani ki har boond mein woh aaye yaad bahut.Is suhaane mausam mein saath nahi tha koi,Baadlon ke saath in aankhon se paani baha bahut.
Kashish to bahut he pyar me mere par koi pathar-dil pighalta nahin uparwala mile to us se mangu pyar apna Par suna he MOUT se pehle wo kisi ko milta nahi.
Jo ansu ki tarah behta gya wo raqt hu mai jise qadam qadam par ajmaya gya wo waqt hu mai shayad isi tarah likhi meri taqdeer khuda ne jise chahne wala to mila par chaha na gya aise shaqs hu mai
Daastaan-e-gham-e-dil unko sunaii na gayi baat bigdii kuchh aisii ki banaii na gayi Sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin ek teri yaad thi aisi ki bhulaai na gayi Ishq par kuchh na chalaa dida-e-tar ka jaadoo usne jo aag lagaa di woh bujhaai na gayi